jalwa-ha-e-zindagi ko kya kahen chaar din ki chandni ko kya kahen dekhte hain chehra-e-khashak bhi phul teri tazgi ko kya kahen tifl-e-maktab ki nazar bhi kya nazar aql teri rahbari ko kya kahen aandhiyon se dekhiye us ka ghurur khak-e-pa ki aajizi ko kya kahen dil gham-o-andoh se khali to ho lala-o-gul ki hansi ko kya kahen kuchh nahin sab khel hai taqdir ka waqt teri be-rukhi ko kya kahen sab se kah deta hai 'ahmad' haal-e-dil us ke dil ki sadgi ko kya kahen