ab to taqlid ke zindan se nikalne do mujhe

ab to taqlid ke zindan se nikalne do mujhe
waqt badla hai to thoda sa badalne do mujhe

main kahan aur kahan waqt ke namrud ki aag
apne hi shoala-e-ehsas mein jalne do mujhe

kis liye aa ke khadi hai mere aage zulmat
main to suraj hun nikalna hai nikalne do mujhe

chhut jae na kahin hath se daman-e-wafa
kuchh to ai gardish-e-ayyam sanbhalne do mujhe

mujh ko manzur nahin ghair ka qalib hargiz
apne tute hue sanche hi mein dhalne do mujhe

khwab ki dhund hai kuchh der mein chhat jaegi
so ke uttha hun zara aankh to malne do mujhe

hoga irfan-e-haqiqat bhi kisi din 'ahmad'
kucha-e-wahm-o-guman se to nikalne do mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close