jalwa hai wo ki tab-e-nazar tak nahin rahi dekha use to apni khabar tak nahin rahi ehsas par garan raha ehsas ka tilism ye umr ki takan safar tak nahin rahi jin par tumhaare aane se khilte rahe gulab ab dil mein aisi rahguzar tak nahin rahi ek din wo ghar se nikle nahin sair ke liye ab khwahish-e-numu mein sahar tak nahin rahi jis ko chhua tha hum ne kadi dhup jhel kar wo chhanw bhi to zer-e-shajar tak nahin rahi khush hai wo aankh kar-e-masihai chhod kar tasir us ki zakhm-e-jigar tak nahin rahi tum kaise mausamon mein hamein milne aae ho pedon pe ab to shakh-e-samar tak nahin rahi 'farhat' main dastaken liye hathon mein rah gaya meri rasai ab tere dar tak nahin rahi