kab wo bhala hamari mohabbat mein aa gae hae wo log jo ki zarurat mein aa gae waise to un ko sae se uljhan bala ki thi momi badan the dhup ki nafrat mein aa gae reza wajud mera abhi tak hawa mein hai tum to qarib mere shararat mein aa gae kuchh to hamein bhi jagte rahne ka shauq tha kuchh ratjage bhi khwab ki qimat mein aa gae aawaz de raha hai abhi kuza-gar mujhe yun lag raha hai chaak se ujlat mein aa gae yaadon ke is hujum se fursat nahin hamein tujh se bichhad ke kaisi ye fursat mein aa gae ab aankh se pila do mere yar zindagi ki khal-o-khad ke par to wahshat mein aa gae yani hamare nam ki shohrat hai auj par yani faqih-e-shahr ki tohmat mein aa gae bhai sabhi pasand ki shadi ke haq mein the bahnon ne khwab dekhe to ghairat mein aa gae shahi mizaj rakhte hain munsif sabhi yahan 'babar' ye kis tarah ki adalat mein aa gae