jalwa paband-e-tur hai ab tak dil wahi koh-e-nur hai ab tak zist se kam nahin khushi lekin gham mataa-e-shuur hai ab tak fasla bas nishat-o-gham ka hai wo qarin hai na dur hai ab tak mai-kashi ka agar saliqa ho gham mein kaif-o-surur hai ab tak dil ki chaukhat pe hai ghamon ki bhid dil mein koi zarur hai ab tak din ka suraj to dhal gaya kab ka zikr-e-rukhsar-e-hur hai ab tak har pas-e-rukh hai ek rukh-e-raushan zindagi ka zuhur hai ab tak ye tera munkasir-mizaj 'kalim' banda-e-pur-ghayur hai ab tak