izhaar-e-jazba-e-dil-e-poshida dekhna ab phul khud hain khar ke girwida dekhna ahd-e-rawan ka jalwa-e-shorida dekhna bedar jo hai fitna-e-khwabida dekhna teri bisat-e-jabr-o-tashaddud ulat na jae ab ke to hum bhi ho gae sanjida dekhna sae pe zindagi ke na kar is qadar ghamand diwar us ki kab se hai bosida dekhna tark-e-talluqat ka khul jaega bharam mahfil mein yun na phir mujhe duzdida dekhna khud waqt hi bataega wo din khuda kare tujh ko bhi ghar ki aag mein nam-dida dekhna hota hai jo bhi gham wo ubharta hai kab yahan galiyan hain shahr-e-ishq ki pechida dekhna sahba-e-gham se shisha-e-dil par na kyon rahe taswir us pe hai koi chaspida dekhna aata hai intiqam bhi lena magar 'kalim' dil chahta nahin use ranjida dekhna