jalwon ki tere lae koi tab kahan tak

jalwon ki tere lae koi tab kahan tak
har shai mein numayan hain nazar jae jahan tak

milne ko to mil jaen abhi donon jahan tak
kam-bakht dua aa bhi chuke dil se zaban tak

hum khak-nashinon ki rasai hai wahan tak
pahunche na farishton ka jahan wahm-o-guman tak

pahuncha diya saqi ne dar-e-pir-e-mughan tak
aur sair-e-kharabaat ne kya jaane kahan tak

kaba mein kalisa mein use dhund ke aakhir
had ye hai ki aa pahunche hain ab ku-e-butan tak

ulfat bhi hai kya chiz shikayat ki koi baat
utthi bhi agar dil se to aai na zaban tak

hone ko sahar aai hai khamosh ho ai shama
tu sozish-e-parwana pe roegi kahan tak

zahid ke liye qasr bhi huren bhi jinan bhi
lekin nahin rindon ke liye ek dukan tak

wada to wafa ho ki na ho ye hai shikayat
lab se kabhi nikli nahin taskin ko han tak

kya kya na hansi abru-o-mizhgan ne udai
pahunchi jo kabhi baat zara tegh-o-sinan tak

nur-e-sahar-o-rang-e-sahar par nahin mauquf
dushman hai shab-e-wasl mein aawaz-e-azan tak

jadu hai adaon mein nigahon mein karishme
aison se bachae koi iman kahan tak

saqi ka karam dekh ki ek aan mein 'shaghil'
pahuncha hi diya bargah-e-pir-e-mughan tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close