jam-e-jam mange na jamshed ka saghar mange lutf ki ek nazar ye dil-e-muztar mange shart hai ranj-o-ta’ab sakhti-e-dauran pahle mangna ho to koi dar pe chadh kar mange ras aaya nahin ye khana-e-gulshan ab tak zindagi mere liye aur koi ghar mange lazzat-e-dard se seri nahin hoti ab tak dard kuchh aur siwa ye dil-e-muztar mange faiz bakhsha hai kisi aur hi hasti ne tujhe raushni tujh se koi kya shah-e-khawar mange shaukat-e-jah-o-hasham khak ajal ke hathon dahr mein phir koi kyon auj-e-sikandar mange hae us rahi-e-pur-gham ki shikasta-pai daman-e-koh mein jo baith ke patthar mange kaun samjhe teri nairangi-e-qudrat yarab sahab-e-taj hai koi koi dar-dar mange