khud hi mahbub liye apna payam aaya hai manzil-e-ishq mein aisa bhi maqam aaya hai koi khat aaya hai un ka na payam aaya hai dida-e-dil ke liye sakht maqam aaya hai dekhiye kaise kate raat padi hai sari phir tasawwur mein koi ab sar-e-sham aaya hai aap apni bhi khabar ab nahin milti ai dost wadi-e-‘ishq mein kaisa ye maqam aaya hai hae kya chiz hai ye ahl-e-muhabbat ka khulus dushmanon ke liye bhi un ka salam aaya hai jo bhi mil jae wo saqi ki 'inayat kahiye ye bhi kya kam hai ki durd-e-tah-e-jam aaya hai aap kyon chalte zamane ki rawish se hat kar waqt padne pe kisi ke koi kaam aaya hai darte darte teri rahmat ka sahaara le kar tere darbar mein maula ye ghulam aaya hai ai 'zaki' hashr mein rahmat ki nazar hai mujh par dil-e-tarsida bade waqt pe kaam aaya hai