jam-e-tahi qubul na tha gham samo liye phulon ke intizar mein kante chubho liye mahrumi-e-dawam bhi kya lutf de gai ye soch kar hanse hain ki ek umr ro liye hum hain wo sada-lauh ki pa kar raza-e-dost khud apne hath apne hi khun mein dubo liye jis samt se bhi bang-e-jaras aai dasht mein diwangan-e-shauq usi samt ho liye pichhla pahar hai shab ka ki hai sham ka saman wo kya bata sakenge jo ek nind so liye kya jabr hai subut-e-wafa pesh kijiye aur un ka nam aae to phir lab na kholiye 'mohsin' zaban dijiye bazm-e-khamosh ko mohmal hai aaj lafz-e-sukhan kuchh to boliye