mohlat na de zara bhi mujhe meri jaan khinch main aarzu tamam hun apni kaman khinch ek mahshar-e-jamal utha tod de jumud tir-e-nazar zamin se ta-asman khinch main aa raha hun barsar-e-mauj-e-hawa-e-gul tu lakh apne gird hisar-e-makan khinch lamhat-e-be-aman bhi ghanimat hain pas aa mauzu-e-digaran bhi na ab darmiyan khinch wo lab-chashidni hain wo daman-kashidni aae na gar yaqin to pae-imtihan khinch 'sahba' ye shahr-e-zist sadaon ka shahr hai yani tanab-e-hasrat-e-husn-e-bayan khinch