jam la jam ki aalam se ji darta hai asar-e-gardish-e-ayyam se ji darta hai lab pe ab aariz-o-gesu ke fasane kya hon fitnaha-e-sahar-o-sham se ji darta hai tujh ko main dhundhta phirta hun dar-o-baam se dur ab tajalli-e-dar-o-baam se ji darta hai gul khilae na kahin fitna-e-dauran kuchh aur aaj-kal daur-e-mai-o-jam se ji darta hai nigah-e-mast ke qurban meri samt na dekh mauja-e-baada-e-gulfam se ji darta hai chhod kar rah mein but-khane guzar jata hun hosh mein jalwa-e-asnam se ji darta hai raat ki zulmaten badhti hi chali jati hain 'akhtar' apna to sar-e-sham se ji darta hai