jamal-e-shahid-e-fitrat ka parda-dar hun main

jamal-e-shahid-e-fitrat ka parda-dar hun main
gulon ki kya ho tamanna ki khud bahaar hun main

alam ki tah mein bhi rang-e-nashat shamil hai
mizaj-e-hasti-e-fani ka raazdar hun main

ajab tilism ka aalam hai bazm-e-saqi mein
na be-khabar hun main khud se na hoshiyar hun main

jabin-e-shauq kabhi waqf-e-astan na hui
waqar-e-ishq-o-mohabbat ka pasdar hun main

jiyun to nang-e-mohabbat marun to nang-e-wafa
asir-e-kashmakash-e-jabr-o-ikhtiyar hun main

khuda kare koi tera payam le aae
tere baghair kai din se be-qarar hun main

'bahaar' mujh se mohabbat ka haq ada na hua
samajh raha tha zamana wafa-shiar hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close