ajib rang hai logon ki aashnai ka

ajib rang hai logon ki aashnai ka
ki ishq nam hua jism ki rasai ka

tabah ye bhi hai barbaad wo bhi dikhta hai
hazaron ko hai dasa nag bewafai ka

patakte phirte hain sar ab ko ja-ba-ja apne
sila nahin koi milta hai parsai ka

unhin ke dam pe hai qaem hamari tanha-rawi
mizaj dekha hai yaron ki ru-numai ka

zamana walon ne suli chadha diya mujh ko
yahi mila hai mujhe uzr parsai ka

kabhi kisi ke ye chehre pe raqs karti hai
badha hai kaam siyasat mein raushnai ka

usi ko main ne phisalte qarib se dekha
nikal laya tha jo tod mod kai ka

bitha rahe ho kapason pe thik hai lekin
karoge kya ye batao diya-salai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close