jamuna mein kal naha kar jab us ne baal bandhe hum ne bhi apne dil mein kya kya khayal bandhe aisa shikoh us ki surat mein hai ki nagah aawe jo samne se dast-e-majal bandhe aankhon se gar kare wo zulfon ko tuk ishaara aawen chale hazaron wahshi ghazal bandhe isa o khizr tak bhi pahunche ajal ka muzhda tu tegh agar kamar par bahr-e-qital bandhe lale ki shakh hargiz lahke na phir chaman mein gar sar pe surkh chira wo naunihaal bandhe lat aashiqi ki koi jae hai aashiqon se go baadshah dande go kotwal bandhe hum kis tarah se dekhen jab de de pech lad ke chire ke pechon mein to zulfon ke baal bandhe banda hun main to us ki aankhon ki sahiri ka tar-e-nazar se jis ne sahab-kamal bandhe hum ek bose ke bhi mamnun nahin kisi ke chahe so koi tohmat roz-e-visal bandhe soz-e-dil apna us ko kya 'mushafi' sunawen aago hi wo phire hai kanon se shaal bandhe