har zi-hayat ka hai sabab jo hayat ka nikle hai ji hi us ke liye kaenat ka bikhri hai zulf us rukh-e-alam-faroz par warna banao howe na din aur raat ka dar-parda wo hi mani muqawwam na hon agar surat na pakde kaam falak ke sabaat ka hain mustahil khak se ajza-e-nau-khatan kya sahal hai zamin se nikalna nabaat ka mustahlak us ke ishq ke jaanen hain qadar-e-marg isa-o-khizr ko hai maza kab wafat ka ashjar howen khama-o-ab-e-siyah-behaar likhna na to bhi ho sake us ki sifat ka us ke farogh-e-husn se jhumke hai sab mein nur sham-e-haram ho ya ki diya somnat ka bizzat hai jahan mein wo maujud har jagah hai did chashm-e-dil ke khule ain zat ka har safhe mein hai mahw-e-kalam apna das jagah mushaf ko khol dekh tak andaz baat ka hum muznibon mein sirf karam se hai guftugu mazkur zikr yan nahin saum-o-salat ka kya 'mir' tujh ko nama-syahi ka fikr hai khatm-e-rusul sa shakhs hai zamin najat ka