jang-e-hayat-o-maut mein kya kya nahin hua guzra hai dard had se pe chaara nahin hua main ne sada rakhin yahin qatron si fitraten main aaj tak ghurur ka dariya nahin hua kya hadsa hai ye bhi ki rishta tera mera bas bij rah gaya kabhi pauda nahin hua jab ilm ne jahan ko taqsim kar diya achchha hai la-khirad hun main dana nahin hua bimariyon mein aaega pursish ko roz wo ye soch kar 'sahab' main achchha nahin hua