andaz-e-sukhan maslahat-amez bahut hai phir bhi ye ada teri dil-awez bahut hai aashufta-mizaji pe meri tanz na kije andaz-e-jahan bhi to junun-khez bahut hai hum se wo mila hai to khule dil se mila hai duniya ko shikayat hai kam-amez bahut hai hum us se juda ho ke bhi yun jhum rahe hain jaise ki ye lamha bhi tarab-khez bahut hai ek bar bhi tharrai na lau sham-e-wafa ki sunte the zamane ki hawa tez bahut hai tum abr-e-karam ban ke zara aa ke to dekho khak-e-dil-e-barbaad bhi zarkhez bahut hai kuchh aur shikayat to nahin teri nazar se ye baat alag hai ki zara tez bahut hai ab dekhiye kis rang mein ye sham dhalegi kuchh gardish-e-haalat ki lai tez bahut hai