jang jitni ho sake dushwar honi chahiye

jang jitni ho sake dushwar honi chahiye
jit hasil ho to lazzat-dar honi chahiye

ek aashiq kal salamat shahr mein dekha gaya
ye khabar to surkhi-e-akhbar honi chahiye

kah rahi hai aaj-kal ghazlen kisi ke ishq mein
wo ki jo khud zinat-e-ashaar honi chahiye

ishq donon ne kiya tha khud-kushi bas main karun
wo bhi marne ke liye tayyar honi chahiye

dil ki nadani hi bas kafi nahin hai ishq mein
aql bhi thodi bahut bimar honi chahiye

pyar hai to hath us ka tham apne hath mein
jang hai to hath mein talwar honi chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close