chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai

chaman mein kaun babulon ki dal khinchta hai
yahan jo aata hai phulon ke gal khinchta hai

wo tir baad mein pahle sawal khinchta hai
sawal bhi jo samaat ki khaal khinchta hai

ai pyar bantne wale main khub jaanta hun
ki kitni der mein machhwara jal khinchta hai

nikal bhi sakta hun qaid-e-takhaiyyulat se gar
wo shakhs khinch le jis ka khayal khinchta hai

main us ke aage nahin khinchta niyam se tegh
wo sher-shah jo dushman ki dhaal khinchta hai

ye sard subh mein soya shararti suraj
bas aankh khulte hi pariyon ki shaal khinchta hai

main hosh-mand hun khud bhi so meri ghazlon mein
na raqs karta hai aashiq na baal khinchta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close