jangal jangal sahra sahra sirf gham-e-uftad hue

jangal jangal sahra sahra sirf gham-e-uftad hue
ahl-e-junun par ishq ki rahmat virane aabaad hue

kal tak jo masum-sifat the aaj wahi jallad hue
rafta rafta shaikh-o-barahman kitne sitam-ijad hue

mausam-e-gul ke aate aate gulchinon ki sazish se
kitne gireban chaak hue hain kitne ghar barbaad hue

dam-e-hawas har ek nafas hai barq-e-hasad har ek nazar
nazm-e-gulistan kyun-kar badle said bhi ab sayyaad hue

sadiyon ke is ujde chaman ki khun se gul-kari hogi
sunte hain arbab-e-mohabbat zindan se aazad hue

puchhe koi arbab-e-jafa se ab ye pashemani kab tak
muddat guzri ahl-e-wafa par taza sitam ijad hue

be-adabi mein jo yakta hain thahre imam-e-bazm-e-adab
jin ko sher na kahna aaya fan ke wahi ustad hue

dagh-e-judai ke sadmon se kya guzri hai kis se kahun
kaise kaise phul chaman ke nazr-e-gham-e-bedad hue

teri khushi se hum ko gharaz hai teri raza se kaam hamein
shad hue hum teri khatir tere liye nashad hue

qamat-e-mauzun ke afsane sehn-e-chaman tak ja pahunche
khush-andam-e-fasl-e-bahaaran sard hue shamshad hue

ahd-e-taghaful ka afsana un se 'jamal' ab kya kahiye
lutf-o-karam sab bhul gae hum jaur-o-sitam sab yaad hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close