kahan le jaun dil ko ya-ilahi gunah thahri hai meri be-gunahi panah-e-har-do-alam ban gai hai junun-e-ishq teri be-panahi dilon par kar gai hai sehr kya kya hasinon ki ada-e-kam-nigahi ye aahat hai usi sarw-e-rawan ki dil-e-betab deta hai gawahi takalluf-bartaraf ye mai-kada hai nahin yan rah-o-rasm-e-uzr-khwahi jigar ke sath duniya-e-adab se hui rukhsat wo shan-e-kaj-kulahi 'majaz' ab lakhnau tujh bin hai suna fughan-e-shab na aah-e-subh-gahi shuur-e-manzil-e-nau aaj bhi hai teri laghzish teri gum-karda-rahi mubarak ho tujhe ai khana viran jahan-e-mai-kada ki baadshahi giran hai taj-daran-e-chaman par asiran-e-qafas ki dad-khwahi maal-e-hasrat-e-tamir kya hai 'jamal' apne bhare ghar ki tabahi