jangalon mein barishen hain dur tak jism mein phir wahshaten hain dur tak raston mein chhup gain raaten kahin khwab-gah mein aahaten hain dur tak qurb ke lamhon ki hairan kokh mein kuchh bichhadti saaten hain dur tak wo kahin gum ho kahin mil jaun main dhund jaisi chahaten hain dur tak ghul rahi hai jism mein tanha hawa furqaton mein furqaten hain dur tak zard patte sham phir bikhra gai sans leti hijraten hain dur tak das gai hai ped ko bhigi hawa shakh par nilahaten hain dur tak gharq hote shahr ki jaan se alag paniyon par rahaten hain dur tak kitni baaten an-kahi si rah gain nutq-e-jaan mein hairaten hain dur tak