hum bikhar jaenge naghmon-bhare khwabon ki tarah mutriba! chhed kabhi hum ko rababon ki tarah ek parde mein hain dar-parda bahut se parde teri yaaden hain pur-asrar hijabon ki tarah zarf ki baat hai kanton ki khalish dil mein liye log milte hain tar-o-taza gulabon ki tarah jin ke sinon mein hain mahfuz mohabbat ke khutut hum hain kuchh aisi dil-awez kitabon ki tarah dil tha wo tuta hua taj-mahal tha kya tha chandni dhund rahi hai jise khwabon ki tarah pyas ki bund jo chhalke to samundar ban jae har nafas khwab dikhata hai sarabon ki tarah 'prem' shaer to shahanshah hua karte hain! tum magar phirte ho kyun khana-kharabon ki tarah