jaras-e-mai ne pukara hai utho aur suno shaikh aae hain su-e-mai-kada lo aur suno kis tarah ujde sulagti hui yaadon ke diye hamdamo dil ke qarib aao ruko aur suno zakhm-e-hasti hai koi zakhm-e-mohabbat to nahin tis utthe bhi to fariyaad na ho aur suno khud hi har ghaw pe kahte ho zaban gang rahe khud hi phir pursish-e-ahwal karo aur suno dastan kahte hain jalte hue phulon ke charagh abhi kuchh aur suno dida-waro aur suno shahryaron ke hain har gam pe charche 'rahat' ye wo basti hai ki bas kuchh na kaho aur suno