jasarat ke rahte bhi khamosh hona hai is ke siwa kya sitam-posh hona pareshan nahin tohmaton se main lekin giran hai tumhaara ye khamosh hona mohabbat mein ilzam lagne do yaro wafa mein hai jaez khata-posh hona wahi ek qad-awar jo tashhir mein tha pur-asrar hai us ka ru-posh hona meri chahaton ko hawa de gaya hai un aankhon ka wada-faramosh hona palak tak kabhi ek qatra na pahuncha hai aankhon ki qismat bala-nosh hona sitam hai bala hai qayamat hai goya bichhadne se pahle ham-aghosh hona