phir wahi be-dili phir wahi mazarat bas bahut ho chuka zindagi mazarat khud-kalami se bhi ruth jati hai tu ab na bolunga ai khamushi mazarat dhup dhal bhi chuki sae uth bhi chuke ab mere yar kis baat ki mazarat dad be-dad mein dil nahin lag raha dosto shukriya shaeri mazarat be-khudi mein khudai ka dawa kiya ai khuda dar-guzar ai khudi mazarat tujh se guzri hui zindagi mang li rabb-e-imroz-o-farda-o-di mazarat ek nazar us ne dekha hai 'asim' chalo dur hi se sahi ho chuki mazarat