jata hai kahin KHun se nisbat ka asar bhi

jata hai kahin khun se nisbat ka asar bhi
talwar jo bolegi to le jaegi sar bhi

pahle tha bahut fasla bazar se ghar ka
ab ek hi kamre mein hai bazar bhi ghar bhi

dekhen to nazar aati hai sad-rang ye duniya
barten to hui jati hai be-rang nazar bhi

is shahr mein ashkon ka likha kaun padhega
jab khun uchhalta hai to banti hai khabar bhi

ye soch ke hum ne kabhi jugnu nahin pakde
niklega andhere se abhi nur-e-sahar bhi

kyon haq ki sada aati nahin bang-e-dara se
ai khwahish-e-sad-rang zara dekh idhar bhi

har shakhs liye gard-e-safar ghum raha hai
ek khel sa lagta hai 'ziya' ab to safar bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close