jate jate dekhna patthar mein jaan rakh jaunga kuchh nahin to ek do chingariyan rakh jaunga nind mein bhi khwab rakhne ki jagah baqi nahin sochta hun ye khazana ab kahan rakh jaunga sab namazen bandh kar le jaunga main apne sath aur masjid ke liye gungi azan rakh jaunga jaanta hun ye tamasha khatm hone ka nahin hall mein ek roz khali kursiyan rakh jaunga chand suraj aur tare phunk dalunga sabhi is zamin par ek nanga aasman rakh jaunga chhod dunga ab main 'alwi' aakhiri din ki talash aur adab ke shahr mein khali makan rakh jaunga