tamam shahr tha jangal sa int patthar ka ghazab wo dekh ke aaya hun baad-e-sarsar ka sadaen chashme ubalne ki aa rahi hain mujhe kisi ne tod diya kya sukut patthar ka mila hai khak-nashini se ye maqam mujhe zamin hai takht falak taj hai mere sar ka mujhe to koi bhi mausam uda nahin sakta ki main to rang hun us ke adhure manzar ka rawan kiya hai mujhe kin bulandiyon ki taraf ki aasman bhi lagta hai saya shah-par ka main apna ghar to jala ke safar pe nikla tha khayal dasht mein aaya faqat tere dar ka sunai deti nahin hai ab apni aahat bhi rawan hua hai har ek samt shor andar ka jab aaftab sa mujh par hua tha raushan tu mujhe hai yaad wo yakh-basta din december ka hawa-e-lams mein ek aag bhi thi poshida ki tabnak hua jism sang-e-marmar ka zahe-nasib mohammad ka nam-lewa hun hai lakh shukr khuda-e-buzurg-o-bartar ka