jate jate gale lagata kya wo mera aur dil dukhata kya phir wahi khush-guman tabiat uf tajraba kuchh nahin sikhata kya? jaane wale to ja chuke kab ke ab yahan khak hai udata kya sham-e-hasti ka phadphadata charagh lau bhala aur se lagata kya main hun majbur aaina to nahin dard ko khushnuma dikhata kya kuchh naya tha hi kab kahani mein qissa-go lakdiyan jalata kya jal-pari tairne nahin aai jhil ki samt chand jata kya hai bura ek din to achchha ek kya koi rota muskuraata kya