log tanhai ka kis darja gila karte hain aur fankar to tanha hi raha karte hain wo tabassum hai ki 'ghaalib' ki tarah-dar ghazal der tak us ki balaghat ko padha karte hain koi jadu koi jalwa koi masti koi mauj hum inhin chand sahaaron pe jiya karte hain din pe yaron ko andhere ka guman hota hai hum andhere mein kiran dhundh liya karte hain bastiyan kuchh huin viran to matam kaisa kuchh kharabe bhi to aabaad hua karte hain sunne walon ki hai taufiq sunen ya na sunen baat kahne ki jo hai hum to kaha karte hain sahil o bahr ke aain salamat na rahe ab to sahil se bhi tufan utha karte hain log baaton mein baha dete hain is daur ka dard aur ashaar mein hum dhaal liya karte hain