jate-jate gale ye gham paD jata hai

jate-jate gale ye gham pad jata hai
achchha-khasa banda kam pad jata hai

naz-o-ada se chalne wala kya jaane
dil ki zamin pe naqsh-e-qadam pad jata hai

sunte hain mazlum ki aah-o-zari se
zalim ki taqdir mein kham pad jata hai

chahe jitna bhi saman kiya jae
kuchh na kuchh to phir bhi kam pad jata hai

shamil ho jab tere lahje mein talkhi
yun lagta hai shahd mein sam pad jata hai

chalne lagti hai jab baat mohabbat ki
bich mein koi ahl-e-sitam pad jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close