kalam apna tabhi to aksar se muKHtalif hai

kalam apna tabhi to aksar se mukhtalif hai
jo sochte hain wo pesh-e-manzar se mukhtalif hai

kahan se hum apni gardishon ka jawaz dhunden
hamara mehwar zamin ke mehwar se mukhtalif hai

isi liye to qubuliyat ke hain dar muqaffal
du'a tumhaari mere muqaddar se mukhtalif hai

tabhi to baithe hain manzaron par jamae aankhen
jo un ka zahir hai un ke andar se mukhtalif hai

tarashte hain jo aazaran-e-khayal aksar
wo ek paikar tumhaare paikar se mukhtalif hai

'munir' donon hain nilgun wus'aton ke hamil
magar samandar ka khwab ambar se mukhtalif hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close