jate kahan junun ke tufan mein aa gae aakhir ko chaaragar mere zindan mein aa gae wo shor-o-ghul wo shahr ka tufan-e-zindagi achchhe rahe wahi jo bayaban mein aa gae wo un ki sair-e-bagh wo zauq-e-bahaar-e-naz phul aap tut tut ke daman mein aa gae us gul ki aarzu mein khalish is qadar hai kyun kante kahan se hasrat-o-arman mein aa gae jo ghar bachche-bachae the tufan-e-ah se wo intizam-e-dida-e-giriyan mein aa gae shayan tumhaari shan ke ye zindagi nahin tum kyun hamare khwab-e-pareshan mein aa gae hai ahl-e-bazm ye bhi ek andaz-e-naz-e-husn aansu kahan se sham-e-farozan mein aa gae 'shakir' nahin hai rabt jinhen sabr o shukr se haiwan hai wo jo surat-e-insan mein aa gae