kabhi sahar to kabhi sham hona chahta hun kabhi piyala kabhi jam hona chahta hun nahin mile the to shohrat ki bhuk jagi thi jo mil gae ho to gumnam hona chahta hun ubhar rahe hain teri chahaton ke bagh-o-bahaar main chupke chupke dil-aram hona chahta hun sunahri yaaden hi palti rahin jis aangan mein main us mahal ke dar-o-baam hona chahta hun main apne khud ke banae hue usulon mein kabhi main kirshn kabhi ram hona chahta hun tere fasane ki har khushnuma ibarat mein kahin pe qaf kahin lam hona chahta hun mere khuda mujhe ab husn ki bashaarat de main us ke shahr pe ilham hona chahta hun udasiyon ne likha hai jo chehre chehre pe fasurdagi ka wo paigham hona chahta hun qadam qadam pe yahan karbalaen phaili hain main waqt-e-asr ka hangam hona chahta hun