jati nahin hai uski mahak tak lihaf se

jati nahin hai us ki mahak tak lihaf se
aai thi ek bar pari koh-e-qaf se

aankhon mein raushni ka samundar umad pada
jaise hi us badan ko nikala ghilaf se

tujh ko kabhi bhi meri zarurat nahin rahi
mayus ho gaya hun main is inkishaf se

tujh se hamein shadid mohabbat hai is liye
karte hain ittifaq tere ikhtilaf se

ye soch kar bhi chhat ki marammat na ki 'zaki'
taza hawa to aati rahegi shigaf se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close