khafa hain is liye wo hum se farmaish nahin karte so hum bhi dhup aur sae ki paimaish nahin karte zamana har chamakti chiz ko sona samajhta hai hamara masala ye hai ki aaraish nahin karte zarurat aashkara karti hai nam-o-nasab sab ka wagarna jo hasin hote hain zebaish nahin karte utar sakti nahin dil-aine mein raushni jab tak hum us se saf sari gard-o-alaish nahin karte zaki har ek khwahish ki chukana padti hai qimat talab hum is liye ab us se aasaish nahin karte