jaun kahan shuur-e-hunar kis ke pas hai aankhen hain sab ke pas nazar kis ke pas hai hadd-e-nazar mein manzil-e-maqsud hai magar jaega kaun rakht-e-safar kis ke pas hai zakhmon mein ho rahe hain izafe nae nae lekin nahin khabar ki tabar kis ke pas hai hum hain ba-qaul un ke agar tirgi-pasand phir dosto kalid-e-sahar kis ke pas hai main qamat-e-shajar ka pujari nahin 'asad' mujh ko ye dekhna hai samar kis ke pas hai