dasht tarik tha aur khwab tha kala mera raushni deta raha kan ka baala mera katna tha mujhe koh-e-shab-e-ghurbat lekin tut kar girta raha rah mein bhaala mera tujh ko malum na thi chaak-garebani meri tu ne is dasht mein kyon nam nikala mera aatishin rakhti hai yan garmi-e-raftar mujhe hun mah-e-khak-nashin gard hai haala mera la-makan ne mujhe phenka hai makan ki had mein kis se padta hai yahan dekhiye pala mera manzil-e-ishq na khak-e-shab-e-hijran mein mili jada-e-ranj mein khinchta raha nala mera dast-e-shaffaf pe likhta hai mera nam koi shakh-e-sarsabz pe khulta hai ujala mera mujh ko gar kar-e-mohabbat mein zara der hui aa gaya karne koi aur izala mera par kar jae ye shayad kisi din ju-e-khak jism ko chahiye kuchh aur sambhaala mera shahr-e-maujud dhuan hai mere bujhne se 'nawed' shahr-e-nabud mein rahta hai ujala mera