jaur-e-paiham ki intiha bhi hai ek ke baad dusra bhi hai ghair ne bazm-e-yar mein hum se kuchh kaha hai to kuchh suna bhi hai shauq se dil mera karo pamal yahi kam-bakht ki saza bhi hai un ki tirchhi nazar se darta hun ye ada hi nahin qaza bhi hai kahte hain wo jo puchhta hun mizaj aap se koi bolta bhi hai nahin waqif 'nasim' se kya khub koi tum par mita hua bhi hai