jawani zindagani hai na tum samjhe na hum samjhe ye ek aisi kahani hai na tum samjhe na hum samjhe hamare aur tumhaare waste mein ek naya-pan tha magar duniya purani hai na tum samjhe na hum samjhe ayan kar di har ek par hum ne apni dastan-e-dil ye kis kis se chhupani hai na tum samjhe na hum samjhe jahan do dil mile duniya ne kante bo diye aksar yahi apni kahani hai na tum samjhe na hum samjhe mohabbat hum ne tum ne ek waqti chiz samjhi thi mohabbat jawedani hai na tum samjhe na hum samjhe guzari hai jawani ruthne mein aur manane mein ghadi-bhar ki jawani hai na tum samjhe na hum samjhe mata-e-husn-o-ulfat par yaqin kitna tha donon ko yahan har chiz fani hai na tum samjhe na hum samjhe ada-e-kam-nigahi ne kiya ruswa mohabbat ko ye kis ki mehrbani hai na tum samjhe na hum samjhe