jawan jab se gul-o-gulshan hua hai jise dekho wahi dushman hua hai karen na shairi to kya karen hum hamein hasil yahi ek fan hua hai mile hain yar hum ko sanp jaise tabhi to ped ye chandan hua hai jalae hain musalsal khwab apne mera ghar yun nahin raushan hua hai asar kuchh to hai angrezon ka sahab yunhi thodi ye suraj san hua hai rakha hai wazn hum ne filon par tabhi to kaam sab fauran hua hai