jawani kya hai hasin yaadgar ka aalam na hoga aisa kisi tajdar ka aalam bhare shabab mein lail-o-nahaar ka aalam kahan se laiye sabr-o-qarar ka aalam faza ek haal pe thahri rahe ye na-mumkin nahin hai khud pe yahan ikhtiyar ka aalam ghazal hazal pe nahin munhasir shuur miyan hai maani-khez dilawar-figar ka aalam wo bar bar gae laut kar ke aae bhi magar na khatm hua intizar ka aalam mahak hai mitti mein aisi ke dil ko khinche hai na mujh se pochhiye un ke dayar ka aalam jo un ko dekh le ek bar dekhta hi rahe hasin chehre pe husn-o-waqar ka aalam janab-e-ishq se kah do bahut hasin hai wo unhin pe khatm hai sola-singar ka aalam jahan ke sath samundar hasin chaman-zaren lo dekh lo mere parwardigar ka aalam qalandarana nazar hai teri ajab 'asi' hai rahmaton se saja husn-e-yar ka aalam