jawani mai-e-arghawani se achchhi mai-e-arghawani jawani se achchhi baqa jis mein ho shai wo fani se achchhi hamein maut us zindagani se achchhi jawani ho achchhi si achchhi kisi ki na hogi tumhaari jawani se achchhi ye mai shaikh ko nar-e-dozakh se badh kar ye mai hum ko jannat ke pani se achchhi hamesha ko ab ho gai aankh musa sada hogi kya lan-tarani se achchhi agar pasbani mile tere dar ki to khidmat nahin pasbani se achchhi mila tut kar hum ne tauba jo todi nibhi chand din shaikh fani se achchhi nishana bane dil rahe tir dil mein nishani nahin is nishani se achchhi teri khush-bayani ka kya zikr waiz khamoshi teri khush-bayani se achchhi jawani to guzri budhape se bad-tar guzar jae piri jawani se achchhi jo ulfat mein hasil huin qais tujh ko ye nakaamiyan kaamrani se achchhi 'riyaz' aa raho tum jo sahir ke dar par rahe maut bhi zindagani se achchhi