shahr mein ek ajab khak-ba-sar aaya hai koi uftad padi hai ki idhar aaya hai ye to us shahr ke raste bhi samajhte honge aane wala badi rahon se guzar aaya hai kaun jogi hai kahin jis ka basera na padaw kya musafir hai ki be-sham-o-sahar aaya hai kaisa wahshi hai ki wahshat ki haden tod gaya koi sahra ki taraf ja ke bhi ghar aaya hai har kham-e-jada khula surat-e-gesu kaisa har khat-e-sang mein kya tujh ko nazar aaya hai bazm-e-yaran nigran ghol-e-harifan raqsan ek tamasha ba-tamasha-e-digar aaya hai zindagi karne lagi shahr ke halqe mein tawaf rasta koh se dariya mein utar aaya hai kab utha bar-e-karam lekin utha hai is bar waqt gardish mein kab aaya tha magar aaya hai wahi imkan-e-ghurub aur wahi saman-e-tulu ya safar khatm hai ya waqt-e-safar aaya hai