jawanon mein mohabbat nim-jaan malum hoti hai bade budhon mein lekin naujawan malum hoti hai thikane ka koi fiqra ye farmati nahin warna teri man to badi maqul man malum hoti hai diya hai haq ne meri sas ko kya phul sa chehra baroz-e-eid bhi ye nauha-khwan malum hoti hai mere mahbub tere husn ka ye ek karishma hai hamari muflisi ab jawedan malum hoti hai alif ne be ke gham mein zahr kha kar khud-kushi kar li badi soch aur purani dastan malum hoti hai kinara meri kashti ke muqaddar mein nahin shayad nahusat nakhuda ki be-karan malum hoti hai janab-e-shaikh us se roz hi be-nuqta sunte hain ye shaikhani koi ahl-e-zaban malum hoti hai qutub-minar se gir kar mara to doctor bole ki is ki maut hum ko na-gahan malum hoti hai bala se ye ghasiti ja rahi hain rah-e-ulfat mein tari zulfon ki lambai kahan malum hoti hai bichaare rail ke engine ne bhi kanon main ungli di gham-e-jaanan ke maron ki fughan malum hoti hai bayan kya ho nazakat wo to wo nazuk-badan nikla giran jis ki samaat ko azan malum hoti hai