jazba-e-hamsari har rukh se ayan hota hai teri mahfil mein jahan mera bayan hota hai aaina hota hai jab mere muqabil ai dost teri surat tera rukh us se ayan hota hai ek hasin phul ka paikar hai suhani shab hai phir mere sine mein ek dard jawan hota hai dekhna jaanib-e-gul-zar zara ahl-e-qafas baat kya hai ye udhar kaisa dhuan hota hai main tera aaina hun tu hai mera aks-e-hasin zarre-zarre se tera jalwa ayan hota hai mere dil mein hai wahin maskan-e-yaad-e-gham-dost tisen uthti hain jahan dard jahan hota hai rah-e-ulfat ka tasawwur bhi kabhi ai 'raje' ahl-e-danish ke liye bar-e-garan hota hai