kin manzilon mein gardish-e-lail-o-nahaar hai un ka karam bhi meri tabiat pe bar hai meri zaban pe harf-e-shikayat ka muddaa un ki zaban pe wada-e-be-e'tibar hai dekhe ulat ke koi jo tarikh ke waraq har naghma mera zamin-e-fasl-e-bahaar hai ek kashmakash si ho gai maut-o-hayat mein aankhon ko meri jab se tera intizar hai khud apne aap jaan le apne maqam ko nau-e-bashar zara bhi agar burdbar hai phaili hui hai jab se chaman mein khizan ki baat simta hua sa jalwa-e-husn-e-bahaar hai khata hai kitna gham koi pita hai kitni mai 'raje' ye apne zarf pe dar-o-madar hai