jazba-e-ishq bhi hai garmi-e-bazar bhi hai husn-e-yusuf ka magar koi kharidar bhi hai shoala-e-tur bhi hai jalwa-gah-bar bhi hai dekhna ye hai koi talib-e-didar bhi hai dil ka sauda mujhe manzur hai lekin ai dost mera ham-zauq bhi hai munis-o-gham-khwar bhi hai kabhi badle hue tewar kabhi duzdida nazar ek hi waqt mein iqrar bhi inkar bhi hai pur-ziya bazm-e-masarrat hai ziya-e-gham se jis jagah phul mahakta hai wahan khar bhi hai chashm-e-saqi ka na mai-khwar sahaara dhunden wo sukhan-saz bhi hai aur jafa-kar bhi hai meri duniya mein wahi sham-o-sahar hain ab tak zindagi talkh bhi hai aur giran-bar bhi hai dil hatheli pe liye sar ko jhukae rahna un ka mansha bhi hai aashiq ko saza-war bhi hai jab gham-e-dil ko masiha ki zarurat hi nahin ab main samjha hun ye ek uqda-e-dushwar bhi hai 'sajid'-e-khasta ko aaghosh-e-karam mein le le tera banda bhi hai aur tera gunahgar bhi hai